Friday 30 August 2013

Main bhi hun Bharat vasi..



















Main bhi hoon Bharat vasi,
Mere dil mein bhi desh yeh basta hai..
Desh bhakti se bilkul bhi kam nahi mere khayal,
Esa kyun mujhko har pal lagta hai…??
Hoti har subah se sham meri,
Hai mujhe toh bas ek kaam yahi, 
Hai jeena mujhe bas apane liye
Apane har chote bade sapano keliye..
Is desh ke sapno se toh na mera koi bhi nata hai..
Ho voh pura, ya nahi kabhi,
Mera toh kuch nahi jaata hai..
Phir bhi is dil mein mere yeh desh mera toh basta hai..
Ho galat kahi, ya kisi ke sath kabhi,
Hai mujhe toh voh sweekar nahi..
Par rok saku us galat ko
Na hue buland utani meri awaaz kabhi..
Mujh jaise desh bhakt se toh,
Ek desh drohi, hi accha hai..
kam se kam uska irada toh saccha hai..
Phir bhi is dil mein mere yeh desh mera toh basta hai.
Bita har pal zindagi ka kewal apane liye,
Jina hai mujhe bhi kuch pal toh mere desh ke liye..
Badle tasveer mere desh ki,
Aur us badale tasveer mein, main bhi kuch rang bharu..
Aur ek din sar utha kar,
Pure swabhiman ke sath main yeh baat kahun,
Main bhi hun Bharat vasi,
Mere dil mein bhi desh yeh basta hai..

Esa kuch kaam karo…


Jahan Chah hai vahan raah hai,
Jaante toh hai sab..
Lekin chahat hai tumhari kya,
Socha tumne kab…
Gar shikhar par pohochna hai,
Toh koshish baar baar karo..
Chahe haaron hazar baar,
Koshish ek baar aur karo..
Jeet mein dega har koi sath tuhara,
Haar mein khud ke sathi bano..
Kahaniya toh sunte hai sab mahan hastiyon ki,
Kare tumhari charcha itihaas bhi,
Esa kuch kaam karo…

Wednesday 28 August 2013

Maa...





















Har pal yeh dil teri yaad main rota hai…
Hai tu nahi paas par lage jaise,
kar rahi hogi yaad mujhe yeh ehsas kyu mujhko har peher hota hai..
Tere bina chal rahi hai sanse magar jine main voh baat nahi,
Tere bina jo kiya deedar nazaron ka lage voh bhi khas nahi..
Hai “ghar” wahi purana par bina tere voh “makaan” hua..
Lagti “bhukh” ab bhi par bina tere har “nivala” muhal hua..

Har pal yeh zamana mujhe yaad dilata hai,
Hai nahi bache din ab zyada tere sath ka yeh kyu jatata hai…
Jante hai hum har beti ki kismat mein bidai hai,
Par ishka matlab yeh nahi ki betiyan parayi hai..
Hai dil main mere hazar khwaishe basi, koi kya jaan payega,
Har khwaish se hai tu jhudi koi maan nahi payega..
Hue zindagi ki shuruaat tujhse,

Zindagi main basi har khushi ka ehsas tujhse,
Mila jeene ka maksad ek khas woh bhi tujhse,
Kiya tune apani zindagi ka har pal humare naam,
Rakhi nahi chand khushiya bhi bakaya apane naam,
Kyu karati maa tu esa yeh aaj tak hum samjh nahi paaye,
Kash tu zindagi ke chand pal apane liye jee leti,
Hai jo bojh is dil par humare isi bahane kuch kam kar deti…

Ab toh bas har pal ek fariyaad hum us rab se karte hai,
Jo di hai yeh zindagi hume ise tu khas kar de,
Laa pau hansi apani maa ke chehare par har pal
Aur bhar du zamane ki saari khushiyaan unke daman me..
bas kuch esi karamat kar de…

Meri tamanna

Is dil ke kavi ki hai bas ek choti si tamanna,
Jaane mane kaviyon mein ho ek naam bhi apna..
Meri Kahi har baat kavita ki panktiyo si lage,
aur woh din dur na ho jab mujhe meri kavitao se ek nayi pehchan mile...

Thursday 22 August 2013

Pura Asman chahiye








Mutthi bhar nahi, Mujhe pura asman chahiye..
Hai dil ke jo arman, kar saku unko pura,
Hoslon mein meri mujhe kuch esi udaan chahiye..
Mana manzil paas nahi, Mushkilon bhari rah sahi,
Toh asan rah yhan kisko chahiye..
Mutthi bhar nahi, Mujhe pura asman chahiye..
Chahe nikale kalam se, meri kavita ki gali se,
Rakhe zamana yaad jise,
Kuch toh esa badlav mujhko chahiye..
Mutthi bhar nahi, Mujhe pura asman chahiye..
Dub jaun lehron mein hi, gar kinara mujhe na mile,
haar kar bhi lekin, sangram ke shuruat ka bigul toh bajna chahiye...
Mutthi bhar nahi, Mujhe pura asman chahiye..