Sunday 29 December 2013

Aaam adami ki "AAP"



Jab jab badhega paap ka ghada darti par,

papo se mukti dilane koi aayega..

Yeh pauranik dharna hai bilkul sacchi,

aur ab isse har “AAM” adami dohrayega..

Kyunki na thi kisi ko bhi ummid, is Bharat Varsha mein,

ki yeh desh ab kabhi apani surat balad payega…

Angrejo se mili azaadi, dashko pehale,

Lekin apne hi logo ke hathon dubate is desh ki naiya ko

Kisi tinake ka bhi sahara mil payega..


Tinaka tinka jod kar aayi “AAP”

Ek ek tinake se jor kar bane Jhadu ko

banaya apna chunav chinha,

woh rajneeti party thi koi aur nahi bas “AAP”

11 Mahineki party ne,

Har akron aur alochnao se pare hath kar,

28 seaton ke sath Delhi mein apna parcham Lehraya..

15 saal se karti aarahi Delhi Par Raaz Sheila Ji ko

AAP ke Kejriwal Ji  ne haraya..

Apane vaade ke virudh lekar samarthan

kiya kuch pal ke liye hum sabko nirash..

Lekin kiya nazar andaaz is baat ko janta ne,

Kyunki nek iraade lekar aarahe the sarkaar mein "AAP".


Delhi ke sathve CM ko, de raha har koi 

Unake jeet ki badhai,

Kyunki yeh woh janta aur desh hai,

Jo hai sadiyo se chale arahe is bhrashta rajneeti ki sataayi..

Tiki kewal Delhi vasiyon ki nahi,

balki pure desh vasiyon ki nazaren ab "AAP" par..

"Swaraj" ka sapna pura karna ab hai pura ka pura nirbhar "AAP" par..

Hai sabko Bharosa apne har vaade ko "AAP" pura kar paoge,

Chahe ho 700 litre mufti paani dena har parivaar ko,

Ya 50% bijali ke bill ki katauti kar,

Ek aam adami ki zindagi mein parivartan le aoge..



"AAP" ki kabiliyat, sacchai, aur imandari par,

hai har Aaam adami ko bharosa,

Pehali baar rajneeti mein esa badlav aaya hai,

Naukri parivaar ke sath sath

Aam adami videsh se bhi "AAP" se jhudane aaya hai..



Yeh kavita nahi mere akele ke man ki,

Balki hai yeh har bharat wasi ke man ki gatha.. 

Kuch bhi esa nahin likhan humane,

Jo shayad koi nahi janta..

Kyunki desh bhar mein aalam yahi hai

Bani ek esi raajneetik party,

Jisase jurne ko aatur har koi hai..

Bohot kuch keh diya,

Hai bohot kuch kehna baaki..

Imaandari ki mashal jalaye jo nikali yeh Aam Adami Party,

Jeet ka bigul yeh har chunav mein bajaye,

Humare aur aapke ummidon se kahi badhakar

yeh raajneeti mein imandari ka parcham lehraye..

AAM adami ke sapno ko pura kar yeh,

Ghuskhori aur bhrastachar ke khilaaf  yun hi ladti jaaye..

Hum sab bhi "AAP" ke is prayash mein 

Apna yogdaan badhaye..

Ant mein don pankiyon ke sath hum apni kavita mein

abhi ke liye alp viram lagaye..

Rajneeti hai gatar kehta tha abtak har koi,

Ab us gatar mein imandari ki bahegi ganga,

Kyunki raajneeti mein utari hai AAM JANTA..


Monday 16 December 2013

Dhyan kidhar hai ??? All in 1 solution idhar hai :)


Meherbaan kadardaan, 
behene suno humari aur suno sare bhai jaan.. 
Chahe ho Janmdin kisi ka,
Ya ho shadi ki salgirah ka dhyaan.. 
Ruth gaya ho koi khas dost,
Ya manana ho kisi ko,
Jo hai aapka janu jaana ya jaan.. ;)
Na karo chinta, 
Ya soch vichar mein apana kimati waqt barbaad, 
Ajao sidhe humare paas.. 
Apani kavita se kar denge 
hum aapki saari mushkilo ka nidaan..
Kyunki zara hat ke zara bach ke,
yeh Kalpana ki kavita meri jaan :)

Thursday 12 December 2013

Jee le Jara

















Zindagi hai samundar yaadon ka,
khushi ke pal ko sjon kar,
gum bhari baaton ko bhul ja..
Lage jab manzil hai nazaron se aozhal,
milegi kamiyaabi zarur tujhe,
is hosale ko dil mein liye samundar mein dub ja..
Nahi ek jaise log is duniya mein,
dosto ko sath lekar chal, aur dushmano ki khata ko bhul ja..
Kisi ke rote hue chehare par hansi lane ke liye,
tu apane gum ko bhul ja..
Kal ki kamiyabi ka daam chukane ke liye,
aaj tu apano ki pohoch se na dur ja..
Hai saari duniya matlabi,  
Pade teri dildari sari duniya ke matlab pe bhari,
kuch esa karne ka armaan dil mein jaga..
Aag laga ke duniya ki samjhdari ko,
apani pagalpanti ka jashna mna..
Tod ke rivajon ka bandhan,
apani manmarzi zindagi jeene ka chalan bana..
Jo keh diya Jo kar liya use bhulkar,
Aane wale pal ko khushi se gale laga…
Marna toh hai ek din sabko hi,
alvida kehne se pehle zindagi ko jee le zara..

Tuesday 10 December 2013

Ek din toh marna hai.........


Aaj Jee kar hoga kya, jab ek din toh marna hi hai..
Kyu karate hum parvah har rishton ki, Jab ek din apno se bichadana hi hai..
Kisi ne lagai chot man par humare, sehen karna lage mushkil bada..
Dukhaya jo kisi ne dil toh, lage jina mushkil bada..
Yeh sab baaten yaad rakh kya farishton ko hum sunayenge..
Ya phir rab ke dar par pade kaure humare dushmano ko yeh fariyaad lagayenge..
Zindagi hai badi choti, yeh ehsas toh sab ko hai..
Par humare jine ke andaaz ko dekh lagta jaise,
 zindagi ki is subah ki raat hona namumkin hai..
Khushiyon ka toh pata nahi par gum ki chaap dil par gehari hai,
Chuk jaate dosti nibhanemein hum kai baar ,
par dushamani ki bisaat toh bilkul pakki hai..
Ab bhi samjh le e dil jo samjhane ki tujhe koshish karu, 
hai purani yeh baat magar na bhule tu ise bas yahi koshish mein hu..
Dushmani nibhane ko gar jeena hai toh bhula de ki tujhe marna hai..
Lekin gar jina hai apano ki khushiyon ke liye toh bas yaad rakh itana,
 ki ek din tujhe marna hai..