Wednesday, 28 August 2013

Maa...





















Har pal yeh dil teri yaad main rota hai…
Hai tu nahi paas par lage jaise,
kar rahi hogi yaad mujhe yeh ehsas kyu mujhko har peher hota hai..
Tere bina chal rahi hai sanse magar jine main voh baat nahi,
Tere bina jo kiya deedar nazaron ka lage voh bhi khas nahi..
Hai “ghar” wahi purana par bina tere voh “makaan” hua..
Lagti “bhukh” ab bhi par bina tere har “nivala” muhal hua..

Har pal yeh zamana mujhe yaad dilata hai,
Hai nahi bache din ab zyada tere sath ka yeh kyu jatata hai…
Jante hai hum har beti ki kismat mein bidai hai,
Par ishka matlab yeh nahi ki betiyan parayi hai..
Hai dil main mere hazar khwaishe basi, koi kya jaan payega,
Har khwaish se hai tu jhudi koi maan nahi payega..
Hue zindagi ki shuruaat tujhse,

Zindagi main basi har khushi ka ehsas tujhse,
Mila jeene ka maksad ek khas woh bhi tujhse,
Kiya tune apani zindagi ka har pal humare naam,
Rakhi nahi chand khushiya bhi bakaya apane naam,
Kyu karati maa tu esa yeh aaj tak hum samjh nahi paaye,
Kash tu zindagi ke chand pal apane liye jee leti,
Hai jo bojh is dil par humare isi bahane kuch kam kar deti…

Ab toh bas har pal ek fariyaad hum us rab se karte hai,
Jo di hai yeh zindagi hume ise tu khas kar de,
Laa pau hansi apani maa ke chehare par har pal
Aur bhar du zamane ki saari khushiyaan unke daman me..
bas kuch esi karamat kar de…

1 comment: