Main bhi hoon Bharat vasi,
Mere dil mein bhi desh yeh basta hai..
Desh bhakti se bilkul bhi kam nahi mere khayal,
Esa kyun mujhko har pal lagta hai…??
Hoti har subah se sham meri,
Hai mujhe toh bas ek kaam yahi,
Hai jeena mujhe bas apane liye
Apane har chote bade sapano keliye..
Is desh ke sapno se toh na mera koi bhi nata hai..
Ho voh pura, ya nahi kabhi,
Mera toh kuch nahi jaata hai..
Phir bhi is dil mein mere yeh desh mera toh basta hai..
Ho galat kahi, ya kisi ke sath kabhi,
Hai mujhe toh voh sweekar nahi..
Par rok saku us galat ko
Na hue buland utani meri awaaz kabhi..
Mujh jaise desh bhakt se toh,
Ek desh drohi, hi accha hai..
kam se kam uska irada toh saccha hai..
Phir bhi is dil mein mere yeh desh mera toh basta hai.
Bita har pal zindagi ka kewal apane liye,
Jina hai mujhe bhi kuch pal toh mere desh ke liye..
Badle tasveer mere desh ki,
Aur us badale tasveer mein, main bhi kuch rang bharu..
Aur ek din sar utha kar,
Pure swabhiman ke sath main yeh baat kahun,
Main bhi hun Bharat vasi,
Mere dil mein bhi desh yeh basta hai..
No comments:
Post a Comment