Thursday 27 November 2014

Bachpan Yaad Aaye...


Jab zindagi ki kadkati dhup sataye,
Reh reh kar mujhe mera bachpan yaad aaye..

Dost banaye kai zindagi mein,
kuch sath chale kuch chut gaye,
Lekin bachpan ki us masoom dosti ki barabari,
na koi aur dost, aur na kisi dost ki dosti kar paye..

Din ke ugane ke sath main ugu ab,
Aur raat ke chadar mujhe sulaye..
Do pal ruk kar na bhig paaun mein barish mein,
Na hi sardi ki dhup mere naseeb aaye..
Ghadi ki shui ki tarah zindagi bhadh rahi aage har pal..
Lekin jab bhi karu yaad mera bachapan,
Dil kehta yeh waqt un bachpan ke galiyaron mein kyu na laut paaye..

Aaj sab kuch jankar bhi yeh dil,
Un bachpan ke dino ki nadani chahta hai..
Apne paraye ki jo samjh aagayi ab ise,
yeh bachpan ki tarah inse anjaan hona chahta hai..
Zindagi toh deti sabko hazaar gum,
yeh dil bachpan ki yaadon ke marham se
aaj ke gumo ko bharna nahi,
balki phir se ek baar bachpan ko jeena chahta hai..

1 comment: