Sunday, 14 December 2014

Tu Muskura..



Ho rahi zindagi ki raah gar mushkil,
Lag rha Jo haalaat,
hai unka badlana mushkil.. 
Rakh ummid ek subha aayegi, 
Teri har mayusi ko woh dur kar jayegi.. 
Us subha ka khayal kar aur muskura..

Jo mili hai zindagi tujhe, 
milegi na dobara yeh yaad rakh.. 
kya paya tune zindagi mein,
Aur hai kaun si khwahish adhuri,
na tu in baaton ka dil mein malaal rakh.. 
apni muskaan se tu har mahol mein jaan la, 
apni hansi ko bemisaal mankar tu muskura..

Ant mein ae-bande,
sath tere es jahaan ki koi nemat na jayegi, 
har rishte ki ek seema hai,
Jo zindagi se daman chutate hi,
sath teraa chod jayegi..
Hansi se gujaare hue pal, zindagi ke jo honge,
Ruh ko tere bas wahi sukun pohochayegi..
Apani ruh ko milane waali sukun ke vaaste tu muskura.. 
aur har guzarte hue pal se tu muskurate hue le vida..

[inspiration for writing this poem was my friend Nidhi Shinghavi]

Zindagi Ki Raah Mein....

Zindagi ki raah mein,
thode gum milenge..
Kuch denge mayusi,
kuch aankhe nam karenge..
Par jo mayusi aur gam ke aansu mein,
prayaas ka sahad milayega,
zindagi jeene ka asali mazaa  bas use hi ayegaa..

Dusaron ki neeyat jankar na heraan ho,
gar hai tere vichar dusaron se pare,
rakh yaad tujhe na kabhi is baat ka gumaan ho..
Logo ki fitarat hai kaisi tu use bhul jaa,
apane sakhsiyat ko tu kuch esa bana..
Ki tik sake na koi hawa tere samane,
gar woh banake tufaan aaye..
Pighal jaaye patthar bhi mom bankar,
gar woh tujh par barasane ka armaan dil mein jagaye.. 

Saturday, 29 November 2014

Ek Ladki Hai...



Ek ladki hai,
Jaani pehchani si..
Meri kavita har baar jo padhti hai..
Taarif na ki ek baar kabhi..
Har baar kavitao mein mere,
 galati pakadti rehti hai..
Jab bhi milati mujhse yeh,
Meri galatiya yaad dila dila ke,
Mujhpar yeh phut phut ke hasti hai..
Koi toh batao ise ki,
Kavitao ki taarif karna kaise hota hai..
Kyunki har baar madam ko bas,
Meri kavita padh ke, editor hi banana hota hai..

Dedicated to: Harvinder Kaur Saini Girn :)

Thursday, 27 November 2014

Bachpan Yaad Aaye...


Jab zindagi ki kadkati dhup sataye,
Reh reh kar mujhe mera bachpan yaad aaye..

Dost banaye kai zindagi mein,
kuch sath chale kuch chut gaye,
Lekin bachpan ki us masoom dosti ki barabari,
na koi aur dost, aur na kisi dost ki dosti kar paye..

Din ke ugane ke sath main ugu ab,
Aur raat ke chadar mujhe sulaye..
Do pal ruk kar na bhig paaun mein barish mein,
Na hi sardi ki dhup mere naseeb aaye..
Ghadi ki shui ki tarah zindagi bhadh rahi aage har pal..
Lekin jab bhi karu yaad mera bachapan,
Dil kehta yeh waqt un bachpan ke galiyaron mein kyu na laut paaye..

Aaj sab kuch jankar bhi yeh dil,
Un bachpan ke dino ki nadani chahta hai..
Apne paraye ki jo samjh aagayi ab ise,
yeh bachpan ki tarah inse anjaan hona chahta hai..
Zindagi toh deti sabko hazaar gum,
yeh dil bachpan ki yaadon ke marham se
aaj ke gumo ko bharna nahi,
balki phir se ek baar bachpan ko jeena chahta hai..

Thursday, 13 November 2014

Apane Peshe ki main yhan par gatha gaane aayi hun...


 
Aaj ek Kahani main aapko sunane aayi hun,
Jo hai hum sab ka pesha, usi ki gatha gaane aayi hun..
Hai na koi is kahani se anibhigya yahan,
Phir bhi maine koshish ki hai,
main ise apane sabdo mein sunane aayi hun…
Hai mujhe mere peshe se lagav bada,
Mere kataksh se na samjhna isase hai mera algaav badha..
Apani hi jeevan shaili par, kuch mazakiya se bhaav jagane aayi hun,
Apane peshe ki main yhan par gaatha gaane aayi hun..
Is peshe ko chunane waale na thode hai,
Har gali, sheher, bus, relon me,
Lage jaise ca karne walen vidyarthiyon ke mele hai..
Kuch chunate ise apani chav se,
Kuch ko karna padta apne parivar ke dabaav se,
Kuch doston ka jhund kar leta Mazak Mazak mein iska chunav,
Who bhi bina samjhe aur jaane is peshe ka haav bhaav..
Shuruat se ant tak ka safar,
Hota hai bara sangeen,
Chod ke duniya daari,
Rehna padta hai banker, study leave mein shaleen..
PCC se Final tak ka attempt, maasumo se bahut kuch chin leta hai,
Library, books, classes aur calculator,
Bus inhi ke beech uska jeevan bhatakta hai…
Parikcha ke baad bhi na milati chain ki saans,
Agar dansh jaaye”Attempt” namak jahrila saap..
Kya batau is saanp ne kitano ko dasa hai,
Kuch ubhar paaye iske zeher se,
Toh kuch ne haar kar apane sapno ka hi daaman choda hai..
Saha jo bhi humahe institute ka “Member” banane tak,
Un yaadon par padi dhul hatane aayi hun,
Apane peshe ki main yhan par gaatha gaane aayi hun..
Ab articleship ki yahaan par mahima gana zaruri hai,
Training ke naam par hota jo shoshan,
Uska insaaf karane waala jag mein na koi hai..
Kaise kaise julm dhaye jaate kya bayan karu janab,
Ek CA bhi kabhi article tha,
yeh bohot baar bhul jaaya karte hai hum aur aap..
Article Article sab kare,
Article ki vyatha samjhe na koi..
Substantive testing se bhi hai aage duniya,
Yeh samjhne na de use koi..
Debtor, creditor aur bank confirmation ki jab rut aati hai,
Jeevan uska office mein printer ke irad girad bhatakate hue guzar jaati hai..
Hai inake taraf se mera anurodh,
Jeene do inhe inaki zindagi, na daalon inpar itana bozh..
Apane sabdon me main ek article ki vyatha sunane aayi hun..
Apane peshe ki main yhan par gaatha gaane aayi hun..
Qualified hone par bhi
zindagi mein zyada kuch nahi badlata hai,
Pariksha dene ka daur ho jata khatm,
Aur naye naye AM banker har din pariksha jaise guzarta hai..
Big 4 se ki articleship to raahe,
kai guna aasan ho jaati hai.
Kyunki Big 4 ke working methodology se
na woh aatama khud ko anjaan paati hai..
Varna toh naukari ka har din jang ka maidaan lagta hai,
Apani kitabi gyaan ko saabit karne ka mauka jab aata hai,
Bechara documentation ke mayajaal se ubhar nahi paata hai,
“If not documented, not done” yeh slogan
use nind me bhi yaad aati hai..
Us maasom ki zindagi audit ko chod,
Bas documentation ko durusat karne mein lag jaati hai..
Client ke bade bade excel spread sheet,
bechare ki samjh mein thodi der se aati hai..
Previous year working paper ko niharate niharate,
Din khamoshi se dhal jaate hai..
Shuruaati dino mein toh use yeh hi samjh nahi aata,
Audit ke in tang dino mein,
Previous year documentation itane salike se koi kaise formatting kar pata ?
Baad mein bechare ko archieval ki mahima samjh aati hai..
Tab jakar kahi usake jaan mein jaan aati hai..
Planning se conclusion tak ho documented ek ek baat,
Chahe ho who control, substantive,
sample testing ya sample selection ki baat..
Documentation Documentation sab kare,
Humari vipada samjhe na koi,
Deadline meet karne ke liye kare hum audit
ya karte rahe documentation yeh spashta kare na koi..
Documentation, deadline, archival bas kya yahi reh gaya is peshe mein baaki?
Khud ko samjhate samjhate kai baar dil haar jate hai,
Isi jantojehet mein, bohot saare pankchi istifa thama jaate hai..
Aur kuch himmat ka daman thame,
documentation ki lehron mein,
audit namak tinake ki talash mein, din raat gota khate hai..




Gar aap sab me se kisi ko, kar gayi meri panktiyan aahat,
Toh usake liye main jodati hun maafi hetu mere dono haath..

Aapka manoranjan bas yahi mera lakshya tha,

Jo karu apane peshe ki baat se bas yahi udeshya tha..
  
Hai ant mein mujhe Bas itana hi mere doston kehna..
halla bol kar badhao Kadam..
na samjho apne documentation ko tum kisi se bhi kam..
Dar dad ke documentation karne mein rakha kya hai,
gar na hua documentation up to the mark,
no ho msyush aur Bas karte raho prayaas, prayaas …..
[This is the poem recited by me in the annual function of my organization held on 12th November 2014]

Wednesday, 1 January 2014

Happy New Year















Aane wale naye saal mein, 

Naye jeet ki ummid bana..

Gar manzil ki talaash mein mile haar, 

Toh us haar ko milne waali jeet ke liye,

Apne anubhav ki sikh bana.. 

Logo ki zindagi nache dhun par jisake,  

Zindagi ko apani khushyon ka esa sangeet bana.. 

Khushiyon mein mushkurana sab jante hai, 

Tu dard seene mein bhar kar bhi mushkurane ki reet bana.. 

Rishton ki purani shikayaton ko dohrakar nahi,

balki galtiyon ko bhula kar rishton ki dor ko majbut bana..  

Naye saal ka jashna toh manata har koi kuch pal ke liye, 

Tu saal ke akhiri pal tak khush reh kar zindagi ka jashna mana..

Gar ki hai humse dosti ki bhul purane saal mein,

Toh aane walen har naye saal mein, 

humari kavitao ko padhte rehne ki aadat bana.. ;) ;)


Sunday, 29 December 2013

Aaam adami ki "AAP"



Jab jab badhega paap ka ghada darti par,

papo se mukti dilane koi aayega..

Yeh pauranik dharna hai bilkul sacchi,

aur ab isse har “AAM” adami dohrayega..

Kyunki na thi kisi ko bhi ummid, is Bharat Varsha mein,

ki yeh desh ab kabhi apani surat balad payega…

Angrejo se mili azaadi, dashko pehale,

Lekin apne hi logo ke hathon dubate is desh ki naiya ko

Kisi tinake ka bhi sahara mil payega..


Tinaka tinka jod kar aayi “AAP”

Ek ek tinake se jor kar bane Jhadu ko

banaya apna chunav chinha,

woh rajneeti party thi koi aur nahi bas “AAP”

11 Mahineki party ne,

Har akron aur alochnao se pare hath kar,

28 seaton ke sath Delhi mein apna parcham Lehraya..

15 saal se karti aarahi Delhi Par Raaz Sheila Ji ko

AAP ke Kejriwal Ji  ne haraya..

Apane vaade ke virudh lekar samarthan

kiya kuch pal ke liye hum sabko nirash..

Lekin kiya nazar andaaz is baat ko janta ne,

Kyunki nek iraade lekar aarahe the sarkaar mein "AAP".


Delhi ke sathve CM ko, de raha har koi 

Unake jeet ki badhai,

Kyunki yeh woh janta aur desh hai,

Jo hai sadiyo se chale arahe is bhrashta rajneeti ki sataayi..

Tiki kewal Delhi vasiyon ki nahi,

balki pure desh vasiyon ki nazaren ab "AAP" par..

"Swaraj" ka sapna pura karna ab hai pura ka pura nirbhar "AAP" par..

Hai sabko Bharosa apne har vaade ko "AAP" pura kar paoge,

Chahe ho 700 litre mufti paani dena har parivaar ko,

Ya 50% bijali ke bill ki katauti kar,

Ek aam adami ki zindagi mein parivartan le aoge..



"AAP" ki kabiliyat, sacchai, aur imandari par,

hai har Aaam adami ko bharosa,

Pehali baar rajneeti mein esa badlav aaya hai,

Naukri parivaar ke sath sath

Aam adami videsh se bhi "AAP" se jhudane aaya hai..



Yeh kavita nahi mere akele ke man ki,

Balki hai yeh har bharat wasi ke man ki gatha.. 

Kuch bhi esa nahin likhan humane,

Jo shayad koi nahi janta..

Kyunki desh bhar mein aalam yahi hai

Bani ek esi raajneetik party,

Jisase jurne ko aatur har koi hai..

Bohot kuch keh diya,

Hai bohot kuch kehna baaki..

Imaandari ki mashal jalaye jo nikali yeh Aam Adami Party,

Jeet ka bigul yeh har chunav mein bajaye,

Humare aur aapke ummidon se kahi badhakar

yeh raajneeti mein imandari ka parcham lehraye..

AAM adami ke sapno ko pura kar yeh,

Ghuskhori aur bhrastachar ke khilaaf  yun hi ladti jaaye..

Hum sab bhi "AAP" ke is prayash mein 

Apna yogdaan badhaye..

Ant mein don pankiyon ke sath hum apni kavita mein

abhi ke liye alp viram lagaye..

Rajneeti hai gatar kehta tha abtak har koi,

Ab us gatar mein imandari ki bahegi ganga,

Kyunki raajneeti mein utari hai AAM JANTA..


Monday, 16 December 2013

Dhyan kidhar hai ??? All in 1 solution idhar hai :)


Meherbaan kadardaan, 
behene suno humari aur suno sare bhai jaan.. 
Chahe ho Janmdin kisi ka,
Ya ho shadi ki salgirah ka dhyaan.. 
Ruth gaya ho koi khas dost,
Ya manana ho kisi ko,
Jo hai aapka janu jaana ya jaan.. ;)
Na karo chinta, 
Ya soch vichar mein apana kimati waqt barbaad, 
Ajao sidhe humare paas.. 
Apani kavita se kar denge 
hum aapki saari mushkilo ka nidaan..
Kyunki zara hat ke zara bach ke,
yeh Kalpana ki kavita meri jaan :)

Thursday, 12 December 2013

Jee le Jara

















Zindagi hai samundar yaadon ka,
khushi ke pal ko sjon kar,
gum bhari baaton ko bhul ja..
Lage jab manzil hai nazaron se aozhal,
milegi kamiyaabi zarur tujhe,
is hosale ko dil mein liye samundar mein dub ja..
Nahi ek jaise log is duniya mein,
dosto ko sath lekar chal, aur dushmano ki khata ko bhul ja..
Kisi ke rote hue chehare par hansi lane ke liye,
tu apane gum ko bhul ja..
Kal ki kamiyabi ka daam chukane ke liye,
aaj tu apano ki pohoch se na dur ja..
Hai saari duniya matlabi,  
Pade teri dildari sari duniya ke matlab pe bhari,
kuch esa karne ka armaan dil mein jaga..
Aag laga ke duniya ki samjhdari ko,
apani pagalpanti ka jashna mna..
Tod ke rivajon ka bandhan,
apani manmarzi zindagi jeene ka chalan bana..
Jo keh diya Jo kar liya use bhulkar,
Aane wale pal ko khushi se gale laga…
Marna toh hai ek din sabko hi,
alvida kehne se pehle zindagi ko jee le zara..

Tuesday, 10 December 2013

Ek din toh marna hai.........


Aaj Jee kar hoga kya, jab ek din toh marna hi hai..
Kyu karate hum parvah har rishton ki, Jab ek din apno se bichadana hi hai..
Kisi ne lagai chot man par humare, sehen karna lage mushkil bada..
Dukhaya jo kisi ne dil toh, lage jina mushkil bada..
Yeh sab baaten yaad rakh kya farishton ko hum sunayenge..
Ya phir rab ke dar par pade kaure humare dushmano ko yeh fariyaad lagayenge..
Zindagi hai badi choti, yeh ehsas toh sab ko hai..
Par humare jine ke andaaz ko dekh lagta jaise,
 zindagi ki is subah ki raat hona namumkin hai..
Khushiyon ka toh pata nahi par gum ki chaap dil par gehari hai,
Chuk jaate dosti nibhanemein hum kai baar ,
par dushamani ki bisaat toh bilkul pakki hai..
Ab bhi samjh le e dil jo samjhane ki tujhe koshish karu, 
hai purani yeh baat magar na bhule tu ise bas yahi koshish mein hu..
Dushmani nibhane ko gar jeena hai toh bhula de ki tujhe marna hai..
Lekin gar jina hai apano ki khushiyon ke liye toh bas yaad rakh itana,
 ki ek din tujhe marna hai..