Thursday, 13 November 2014

Apane Peshe ki main yhan par gatha gaane aayi hun...


 
Aaj ek Kahani main aapko sunane aayi hun,
Jo hai hum sab ka pesha, usi ki gatha gaane aayi hun..
Hai na koi is kahani se anibhigya yahan,
Phir bhi maine koshish ki hai,
main ise apane sabdo mein sunane aayi hun…
Hai mujhe mere peshe se lagav bada,
Mere kataksh se na samjhna isase hai mera algaav badha..
Apani hi jeevan shaili par, kuch mazakiya se bhaav jagane aayi hun,
Apane peshe ki main yhan par gaatha gaane aayi hun..
Is peshe ko chunane waale na thode hai,
Har gali, sheher, bus, relon me,
Lage jaise ca karne walen vidyarthiyon ke mele hai..
Kuch chunate ise apani chav se,
Kuch ko karna padta apne parivar ke dabaav se,
Kuch doston ka jhund kar leta Mazak Mazak mein iska chunav,
Who bhi bina samjhe aur jaane is peshe ka haav bhaav..
Shuruat se ant tak ka safar,
Hota hai bara sangeen,
Chod ke duniya daari,
Rehna padta hai banker, study leave mein shaleen..
PCC se Final tak ka attempt, maasumo se bahut kuch chin leta hai,
Library, books, classes aur calculator,
Bus inhi ke beech uska jeevan bhatakta hai…
Parikcha ke baad bhi na milati chain ki saans,
Agar dansh jaaye”Attempt” namak jahrila saap..
Kya batau is saanp ne kitano ko dasa hai,
Kuch ubhar paaye iske zeher se,
Toh kuch ne haar kar apane sapno ka hi daaman choda hai..
Saha jo bhi humahe institute ka “Member” banane tak,
Un yaadon par padi dhul hatane aayi hun,
Apane peshe ki main yhan par gaatha gaane aayi hun..
Ab articleship ki yahaan par mahima gana zaruri hai,
Training ke naam par hota jo shoshan,
Uska insaaf karane waala jag mein na koi hai..
Kaise kaise julm dhaye jaate kya bayan karu janab,
Ek CA bhi kabhi article tha,
yeh bohot baar bhul jaaya karte hai hum aur aap..
Article Article sab kare,
Article ki vyatha samjhe na koi..
Substantive testing se bhi hai aage duniya,
Yeh samjhne na de use koi..
Debtor, creditor aur bank confirmation ki jab rut aati hai,
Jeevan uska office mein printer ke irad girad bhatakate hue guzar jaati hai..
Hai inake taraf se mera anurodh,
Jeene do inhe inaki zindagi, na daalon inpar itana bozh..
Apane sabdon me main ek article ki vyatha sunane aayi hun..
Apane peshe ki main yhan par gaatha gaane aayi hun..
Qualified hone par bhi
zindagi mein zyada kuch nahi badlata hai,
Pariksha dene ka daur ho jata khatm,
Aur naye naye AM banker har din pariksha jaise guzarta hai..
Big 4 se ki articleship to raahe,
kai guna aasan ho jaati hai.
Kyunki Big 4 ke working methodology se
na woh aatama khud ko anjaan paati hai..
Varna toh naukari ka har din jang ka maidaan lagta hai,
Apani kitabi gyaan ko saabit karne ka mauka jab aata hai,
Bechara documentation ke mayajaal se ubhar nahi paata hai,
“If not documented, not done” yeh slogan
use nind me bhi yaad aati hai..
Us maasom ki zindagi audit ko chod,
Bas documentation ko durusat karne mein lag jaati hai..
Client ke bade bade excel spread sheet,
bechare ki samjh mein thodi der se aati hai..
Previous year working paper ko niharate niharate,
Din khamoshi se dhal jaate hai..
Shuruaati dino mein toh use yeh hi samjh nahi aata,
Audit ke in tang dino mein,
Previous year documentation itane salike se koi kaise formatting kar pata ?
Baad mein bechare ko archieval ki mahima samjh aati hai..
Tab jakar kahi usake jaan mein jaan aati hai..
Planning se conclusion tak ho documented ek ek baat,
Chahe ho who control, substantive,
sample testing ya sample selection ki baat..
Documentation Documentation sab kare,
Humari vipada samjhe na koi,
Deadline meet karne ke liye kare hum audit
ya karte rahe documentation yeh spashta kare na koi..
Documentation, deadline, archival bas kya yahi reh gaya is peshe mein baaki?
Khud ko samjhate samjhate kai baar dil haar jate hai,
Isi jantojehet mein, bohot saare pankchi istifa thama jaate hai..
Aur kuch himmat ka daman thame,
documentation ki lehron mein,
audit namak tinake ki talash mein, din raat gota khate hai..




Gar aap sab me se kisi ko, kar gayi meri panktiyan aahat,
Toh usake liye main jodati hun maafi hetu mere dono haath..

Aapka manoranjan bas yahi mera lakshya tha,

Jo karu apane peshe ki baat se bas yahi udeshya tha..
  
Hai ant mein mujhe Bas itana hi mere doston kehna..
halla bol kar badhao Kadam..
na samjho apne documentation ko tum kisi se bhi kam..
Dar dad ke documentation karne mein rakha kya hai,
gar na hua documentation up to the mark,
no ho msyush aur Bas karte raho prayaas, prayaas …..
[This is the poem recited by me in the annual function of my organization held on 12th November 2014]

No comments:

Post a Comment