Jab zindagi ki
kadkati dhup sataye,
Reh reh kar mujhe
mera bachpan yaad aaye..
Dost
banaye kai zindagi mein,
kuch sath
chale kuch chut gaye,
Lekin
bachpan ki us masoom dosti ki barabari,
na koi
aur dost, aur na kisi dost ki dosti kar paye..
Din ke ugane
ke sath main ugu ab,
Aur raat
ke chadar mujhe sulaye..
Do pal
ruk kar na bhig paaun mein barish mein,
Na hi
sardi ki dhup mere naseeb aaye..
Ghadi ki
shui ki tarah zindagi bhadh rahi aage har pal..
Lekin jab
bhi karu yaad mera bachapan,
Dil kehta
yeh waqt un bachpan ke galiyaron mein kyu na laut paaye..
Aaj sab
kuch jankar bhi yeh dil,
Un
bachpan ke dino ki nadani chahta hai..
Apne
paraye ki jo samjh aagayi ab ise,
yeh
bachpan ki tarah inse anjaan hona chahta hai..
Zindagi toh deti sabko hazaar gum,
yeh dil bachpan ki yaadon ke marham se
aaj ke gumo ko bharna nahi,
aaj ke gumo ko bharna nahi,
balki phir se ek baar bachpan ko jeena chahta hai..
NICE!!!!! <3 <3 <3
ReplyDelete